| |
Main hoo ghulaam Saiyed-e-‘Aali janaab ka,
Bharkar piyungaa jaam main Kausar ke aab ka.
Saiyedna Badruddin se main dar seyaab hoo,
Maddaah ban gayaa shahe ‘aali janaab ka.
Thode dino mein ‘ilm mein kaamil kiyaa mujhe,
Mujhko sikhaaya ‘ilm ‘ajaaib kitaab ka.
Inke qadam ki khaak ko khaak-e-shifaa samajh,
Jibreel bosaa dete hai jinki rikaab ka.
Chaahe to jannati kare chaahe to dauzakhi,
Maalik hai ye tamaam azal ke hisaab ka.
Da’wat ka jo ‘adoo hai woh ibn-e-ziyaad hai,
Laayaq hai woh la’een khudaa ke ‘azaab ka.
Unke tufayl se ye sharaafat mujhe mili,
Ab roz-e-hashr khauf nahi hai ‘azaab ka.
Tujhko ‘azaab-e-qabr se ay ‘nazr’ khauf kyaa,
Haami hai qabr mein woh sawaal-o-jawaab ka. |
| |
Ay Badruddin sarwar, laakhon salaam Tum par,
Fakhr ul-Hodaa ke dilbar, laakhon salaam Tum par.
Shams ud-Do’aat ho Tum, khayr ul-Hodaat ho Tum,
Raah-e-najaat ho Tum, ‘amali furaat ho Tum,
Daa’i-e-rabb-e-akbar, laakhon salaam Tum par.
Rote hai mumenee sab, furqat mein teri Maulaa,
Aate hai behr-e-ziyaarat, turbat pe teri Maulaa,
Phoolon ki leke chaadar, laakhon salaam Tum par.
Karte hai ‘arz Maulaa, sar ko jhuka ke dar par,
Hai aaj ‘urs ki shab, dete hai faateha sab,
Chamkaado ab muqaddar, laakhon salaam Tum par.
Mo’jiz-numaa ho Maulaa, kya shaan hai Tumhaari,
Waabista sab ummeede, hai Aapse hamaari,
Nazr-e-karam ho hum par, laakhon salaam Tum par.
Faryaad hai labon par, aur ashk beh rahe hai,
Aur waasta ‘Ali ka, hum Tumko de rahe hai,
Bigdee banaado aakar, laakhon salaam Tum par.
Mushkil mein gar pukaara, Tumko kisine Aaqaa,
Dilne suroor paaya, aankhon ne noor paaya,
Turbat pa sarko rakhkar, laakhon salaam Tum par.
Da’wat ki Tumne kashti, toofan se bachaayi,
Ki dushmanaan-e-deen ki, kis shaan se safaai,
Sab mushkelaat seh kar, laakhon salaam Tum par.
Jo aaya sheh ke dar par, faa’iz phiraa muqarrar,
Tum ho mujeeb-e-mazhar, jinn-o-bashar mein ashhar.
Jinka hai fazl bartar, laakhon salaam Tum par.
Ay Deen-e-Haqq ke rehbar, laakhon salaam Tum par.
Noor-e-Khuda ke mazhar, laakhon salaam Tum par. |